Tuesday, 14 May 2019

loot liya hai

loot liyaa hai tujhe
kar diya hai khali
nahi raha ab kuchh naya
ho gai har chij puraani
tu ab kisson mai hai
ban ke reh gai ak kahani
(meri jawani
meri raani
na kar manmani
na kar aur shaitani)-2x

haasil kiya tha jo mushkil se
ho gya hai ab saara paani
dekh teri aadat se
kaisi haalat ho gai teri jaani
kahan le ke aa gai
tujhe teri ak naadani
(meri jawani
meri raani
na kar manmani
na kar aur shaitani)-2x

na vah josh raha
na ab hosh raha
jo tha kabhi tufaani
sab fika pad gya
dal gai ab teri jawani
duniya bhi na rahi pehle si jo thi teri diwani
(meri jawani
meri raani
na kar manmani
na kar aur shaitani)-2x



Sunday, 5 May 2019

lambe raaste

ye lambe raaste
honge nahi tay ak kadam se
jo bhi hoga
hoga chalne se
kyon hai paresha
dekh ke ye raaste
hazaaro hai ye toh
kuchh nahi hoga dekhne se
bas tu thaan le
chun ak enhi mai se
kar chalna shuru
kahin ak kinare se
ye lambe raaste
honge nahi tay ak kadam se
jo bhi hoga
hoga chalne se

jo chalna karega shuru
toh pahuchega kahin pe
aasan nahi koi bhi dagar
har mod pe hai mushkile
kuchh denge sath raahon mai
kuchh chale jainge bich mai chhod ke
ye lambe raaste
honge nahi tay ak kadam se
jo bhi hoga
hoga chalne se

manzil mai pahuchege vahi
jo ladte haalato se
junun hai jisme
kuchh paane ka
 vah rukte nahi
kisi ke rokne se
unka har andaaz sabse alag
hote hai vah diwane se
ye lambe raaste
honge nahi tay ak kadam se
jo bhi hoga
hoga chalne se