Friday, 15 February 2019

duniya ka dastoor

ye duniya ka kaisa dastoor hai
yahan sab kyon bebas aur mazboor hai
ham apni manzil pa na sake
lagta hai, kismat manzil se door hai
maangi thi Jo mannat khuda se
hai abhi bhi adoori
shayad khuda bhi hamse door hai
(ye duniya ka.........mazboor hai)-2x

ham es duniya mai aae
kya ye hamara kasoor hai
feer rahe hai sahar mai aavara ban kar
tabhi toh log kehte mashoor hai
(ye duniya..................mazboor hai)-2x

pehle duniya me thukraya hame
fir kehte bekasoor hai
kya jawan hona hamara kasoor hai
ya vajaha kuchh aur hai
kyun hamara naam har gunaah se judta hai
aakhir hamara kya kasoor hai
(ye duniya...................mazboor hai)-2x

kyon ham kuchh kar na sake
kyon ham bebas aur mazboor hai
kaisa chakar hai ye kismat ka
kyon duniya ke dar se ho rahe door hai
(ye duniya.....................mazboor hai)-2x


No comments:

Post a Comment