Mujhe apna chehara bhi yaad nahi
Mere karmo ka koi hisaab
nahi
Mujhe kya koi pyar karega
Main es layak kabhi tha hi
nahi
Suraj aaya to main jaaga
Varna mujhe kya khabar thi
Main bhi hoon zinda kahin – 2x
Chalo chhod chale ye jahan
Main orr yaha ruk sakta nahi
Ab tum hi bata do
Koi kisi ke pap se pyar
karta nahi
Suraj aaya to main jaaga
Varna mujhe kya khabar thi
Main bhi hoon zinda kahin – 2x
Bas ek baat bata de khuda
Kyon apna ek thikana nahi
Tujhe to aati hai har pal
hansi
Ham to bhul gye hai rasta
kahin
Suraj aaya to main jaaga
Varna mujhe kya khabar thi
Main bhi hoon zinha kahin – 2x
Kab tak ghumta rahun en
samundro me
Ak naavik (kashti) ki taraha
yahin-kahin
Kya dikhaega koi mujhe rasta
Yaha to manzar ak sa hai har
kahin
Suraj aaya to main jaaga
Varna mujhe kya khabar thi
Main bhi hoon zinda kahin – 2x
No comments:
Post a Comment