Sunday, 30 December 2018

duniya ke samundr mai

duniya ke samundr mai
na jaane meri kashti kaha kho gai
chale the ham dhundne kinaara
par mazdaar se hi mud gai
khuda hi jaane kon sa tufaan tha vo
jo kashti kisi aur kinare pe aa gai
(duniya ke samundr mai
na jaane meri kashti kaha kho gai )-2x

socha tha kuchh karna hai

kuchh kar ke dikhana hai
par ab toh, zindagi jina bhi
mazboori hai ban gai
(duniya ke samundr mai
na jaane meri kashti kaha kho gai )-2x

sapne dhundle padne lage  hai

apne bhi begaane lagne lage hai
na jaane kyon hamari zindagi
asi  hai ho gai
(duniya ke samundr mai
na jaane meri kashti kaha kho gai )-2x

ho na saki meri chahat poori

reh gai hai kuchh to adoori
bani thi jo mehnat se dariyaa
saari bund-bund ban kar beh gai
(duniya ke samundr mai
na jaane meri kashti kaha kho gai )-2x