Sunday, 30 December 2018

duniya ke samundr mai

duniya ke samundr mai
na jaane meri kashti kaha kho gai
chale the ham dhundne kinaara
par mazdaar se hi mud gai
khuda hi jaane kon sa tufaan tha vo
jo kashti kisi aur kinare pe aa gai
(duniya ke samundr mai
na jaane meri kashti kaha kho gai )-2x

socha tha kuchh karna hai

kuchh kar ke dikhana hai
par ab toh, zindagi jina bhi
mazboori hai ban gai
(duniya ke samundr mai
na jaane meri kashti kaha kho gai )-2x

sapne dhundle padne lage  hai

apne bhi begaane lagne lage hai
na jaane kyon hamari zindagi
asi  hai ho gai
(duniya ke samundr mai
na jaane meri kashti kaha kho gai )-2x

ho na saki meri chahat poori

reh gai hai kuchh to adoori
bani thi jo mehnat se dariyaa
saari bund-bund ban kar beh gai
(duniya ke samundr mai
na jaane meri kashti kaha kho gai )-2x



Sunday, 23 December 2018

main bhi hoon zinda

Mujhe apna chehara bhi yaad nahi
Mere karmo ka koi hisaab nahi
Mujhe kya koi pyar karega
Main es layak kabhi tha hi nahi
Suraj aaya to main jaaga
Varna mujhe kya khabar thi
Main bhi hoon zinda kahin – 2x

Chalo chhod chale ye jahan
Main orr yaha ruk sakta nahi
Ab tum hi bata do
Koi kisi ke pap se pyar karta nahi
Suraj aaya to main jaaga
Varna mujhe kya khabar thi
Main bhi hoon zinda kahin – 2x

Bas ek baat bata de khuda
Kyon apna ek thikana nahi
Tujhe to aati hai har pal hansi
Ham to bhul gye hai rasta kahin
Suraj aaya to main jaaga
Varna mujhe kya khabar thi
Main bhi hoon zinha kahin – 2x

Kab tak ghumta rahun en samundro me
Ak naavik (kashti) ki taraha yahin-kahin
Kya dikhaega koi mujhe rasta
Yaha to manzar ak sa hai har kahin
Suraj aaya to main jaaga
Varna mujhe kya khabar thi
Main bhi hoon zinda kahin – 2x

Saturday, 15 December 2018

jai kaali-2

ye kaisa jaadu hone laga
kyun main bekabu hone laga
kya tere dil mai hai vahi
jo mere dil mai hone laga
jai kaali jai kaali
jai kaali jai kaali 

na ab koi khabar
na hai kuchh pata
jhum raha hoon mai
jhum raha hai sama
jai kaali jai kaali 
jai kaali jai kaali 

kho gye hai sab kahin
har koi ho raha hai diwana
na kisi ko hosh hai
na hai kisi ka thikana
jai kaali jai kaali 
jai kaali jai kaali 



Saturday, 1 December 2018

jai kaali-1

maiya tere
aae hai dar pe
aaj shish jhuka ke
tere charno pe
sabka beda paar kiya hai tune
ab mera sath de de
o maiya haath de
o maiya saath de -2x

har pal tera naam japu
aa ke teri chokhat pe
koi na gya khali
job hi aae tere dar pe
sabki mannat ki hai poori tune
ab meri bhi kar de
o maiya haath de
o maiya saath de -2x