chal nikal tu aage kahin
kyon ek jagha hai tika
ab hona hai vahi
jo hai tay ho chuka
(pi daal
ji daal
ye sab hai nasha )-2x
kya hai tujhe guzre vakt se aasha
Jo hona tha ho chuka
dekh liyaa tune vakt ka mizaaz
ab kyon hai rukaa
(pi daal
ji daal
ye sab hai nasha )-2x
kehta jise tu pyar hai
uske labhon me tere liye inkaar hai
chal chhod de ab use
uski hai kuch or mansha
(pi daal
ji daal
ye sab hai nasha )-2x
haasil kiyaa tune har mukaam
izzat ho gai, shourat ho gai
ho hai ab intehaa
sab kuch pa kar bhi
kyon lagtaa hai tu bhukha
(pi daal
ji daal
ye sab hai nasha )-2x
No comments:
Post a Comment