chhod ke apne adhikaaro ko
kyon chahiye tujhe har baar aushadi
jaise bimaro ko
jo tha tera, vah tujhe mil chuka
ab to milne de auro ko
dekh tu ab aage
varna zamaana baitha hai
tujhpe nishana saade - 2x
kab tak yun galat raah pe chalega
kitna aur pareshan karega logo ko
vakt rehte tu sambhal jo
thuk de gande vicharon ko
dekh tu ab aage
varna zamaana baitha hai
tujhpe nishana saade - 2x
jo hai tujhko mila
khush rakh usi mai khud ko
sab kuch badal chuka hai
samaj vakt ke isharon ko
dekh tu ab aage
varna zamaana baitha hai
tujhpe nishana saade - 2x
kuchh ho jaae sath tere
esse pehle badal de khud ko
kahin aane wala manzar mushkil na ho
varna dundta firega tu, aaj mai kal ko
dekh tu ab aage
varna zamaana baitha hai
tujhpe nishana saade - 2x
No comments:
Post a Comment