Tuesday, 10 April 2018

dilfenk saiyyan

keh gya wo yaar
main hoon uska pyaar
kehta main uski duniya
main hi uski sarkaar
kaise karun main uska bharosa
kaise karun main aitbaar
wo hai dilfenk saiyyan-fenku
(dilfenk saiyyan-fenku) - 2x

mujhe na uska pata
na hai koi khabar
ak raaz sa hai
uski har baat par
afsaana lagta hai uska har kissa
jaise tinka ho chor ki daadi par
wo hai dilfenk saiyyan-fenku
(dilfenk saiyyan-fenku) - 2x

kis se hai usse pyar
kiska hai vah dildaar
kya bharosa uska
kab chhod dega beech majdaar
wo toh badlega nahi
mujhe hi kuchh sochna padegaa yaar
kyunki...
wo hai dilfenk saiyyan-fenku
(dilfenk saiyyan-fenku) - 2x

No comments:

Post a Comment